Wednesday, October 15, 2014

Dard apnata hai paraye kaun

Dard apnata hai paraye kaun -2,
Kaun sunta hai aur sunaye kaun,
dard apnata hai paraye kaun

Kaun dohraye purani batein - 2,
gham abhi soya hai jagaye kaun - 3,

Woh jo apne hain kya woh apne hain - 2,
kaun dukh jhele aazmaye kaun - 3.

Ab sukun hai to bhoolne mein hai -2,
lekin us shakhs ko bhulaye kaun - 2,
dard apnata hai paraye kaun

Aaj phir dil hai kuch udas udas - 2,
dekhiye aaj aaye kaun -2,

dard apnata hai paraye kaun
kaun sunta hai aur sunaye kaun

No comments:

Post a Comment