Tuesday, September 30, 2014

Wahaan kaun hai teraa

wahaan kaun hai teraa,
musaafir, jaayegaa kahaan
dam lele ghadi bhar,
ye chhaiyyaan payega kahaan
wahaan kaun hai teraa

beet gaye din,
pyaar ke palchhin
sapna bani wo raaten
bhool gaye wo,
tu bhi bhulaa de
pyaar ki wo mulaaqaaten
pyaar ki wo mulaaqaaten
sab door andhera,
musafir, jaayega kahaan

koi bhi teri, raah na dekhe
nain bichhaaye na koi
dard se tere, koi na tadpaa
aankh kisi ki naa royi
kahe kisko tu mera,
musafir jaayega kahaan

kehte hain gyaani,
duniyaa hai faani
paani pe likhi likhaayi
hai sabki dekhi,
hai sabki jaani
haath kisike na aayi
kuchh tera naa mera,
musafir jaayega kahaan
dam lele ghadi bhar,
ye chhaiyyaan,
payega kahaan
wahaan kaun hai tera

Wednesday, September 17, 2014

Mere Dukh Ki Koi Dawa Na Karo

Mere Dukh Ki Koi Dawa Na Karo
Mujhko Mujhse Juda Na Karo

Na Khuda Ko Khudai Ka Gam Hai To Phir
Doob Jao Khuda Khuda Na Karo

Yeh Sikhaya Hai Dosti Ne Hume
Dost Ban Kar Kabhi Wafa Na Karo

Ishq Ahi Ishq Yeh Mazak Nahin
Chnd Lamhon Mein Faisla Na Karo