Saturday, August 9, 2014

Ab Khushi hai na koi Gham

Ab Khushi hai na koi Gham rulaane wala
Humne apana liya har rang zamaane wala

Us ko rukhsat to kiya tha mujhe maalum na tha
Saara ghar le gaya ghar chhod ke jaane wala

Ik musafir ke safar jaisi hai sab ki duniya
Koi jaldii mein koi der se jaane wala

Ek be chehra si ummeed hai chehra chehra
Jis taraf dekhiye aane ko hai aane wala

No comments:

Post a Comment