Wednesday, July 23, 2014

Ab main raton ki qataron mein

Ab main raton ki qataron mein nazar aata hoon
Ab main ration ki qataron mein nazar aata hoon
Apne kheton se bichhad ne ki saza paata hoon
Ab main raton ki qataron mein nazar aata hoon

Itnee menhgaayee ke bazaar se kuch laata hoon

Apne bachchon mein usse baant ke sharmaata hoon
Ab main raton ki qataron mein nazar aata hoon

Apnee neendo ki lahoo pochne ki koshish mein

Jaagte jaagte, thak jaata hoon so jaata hoon
Ab main raton ki qataron mein nazar aata hoon

Koi chaadar samajh ke kheench na le fir se khaleel

Main qafan odh kar foot-paath pe so jaata hoon
Ab main raton ki qataron mein nazar aata hoon.

No comments:

Post a Comment